Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha

wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha

bas ek payambar-e-jannat-nisar hai tanha

na bulbulon ki azan hai na titliyon ka tawaf

abhi chaman mein gul-e-nau-bahaar hai tanha

uThae minnat-e-sarsar ki naz-e-baad-e-nasim

har ek haal mein sahra shikar hai tanha

falak nujum se raushan zamin charaghon se

hujum-e-nur mein ek sham-e-tar hai tanha

jami hai bazm-e-masarrat ghazal-chashmon se

jise mili hai nazar ashk-bar hai tanha

hamin ne KHema-e-hijran mein kaT din raaten

hamin ko fikr thi behad ki yar hai tanha

chahal-pahal hai bahut yun to mai-kade mein 'naim'

miyan-e-jam-o-subu baada-KHwar hai tanha

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Wo Kaj-nigah Na Wo Kaj-shiar Hai Tanha in PDF.