Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi

judai bhi qarabat ki tarah thi

magar saat nahusat ki tarah thi

lipaT ke so gaya main zindagi se

ghazab-naki inayat ki tarah thi

wo fateh tha magar jazbe se aari

hamari haar nusrat ki tarah thi

hiran ki aankh mein dahshat thi zinda

magar ye chashm hairat ki tarah thi

guzari thi jo saat sath tere

nazar mein wo amanat ki tarah thi

yaqin karna guman ke daere mein

tabiat us ki aurat ki tarah thi

abhi jo KHak ki paiwand si hai

falak-bos ek imarat ki tarah thi

dua man ki muhafiz thi nahin to

saubat bhi qayamat ki tarah thi

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi In English By Famous Poet Hasan Nizami. Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Judai Bhi Qarabat Ki Tarah Thi in PDF.