Main Ghar Se Zehn Mein Kuchh Sochta Nikal Aaya

main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya

saDak pe KHauf ka ek silsila nikal aaya

wo ek dard shagufta gulab ho kar bhi

badan pe zaKHm sa jaise naya nikal aaya

sulagti dhup ne is darja kar diya be-tab

mujhi se saya mera hanpta nikal aaya

safed-poshon ki tauqir ke tahaffuz mein

hamare shahr ka tabqa baDa nikal aaya

mujhe wo rakhta hai masruf kis nazakat se

ki gham se rishta mera dusra nikal aaya

wo ek lams tha us ka hayat ka zamin

chhua jo peD to patta hara nikal aaya

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ghar Se Zehn Mein Kuchh Sochta Nikal Aaya In English By Famous Poet Hasan Nizami. Main Ghar Se Zehn Mein Kuchh Sochta Nikal Aaya is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Main Ghar Se Zehn Mein Kuchh Sochta Nikal Aaya for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Main Ghar Se Zehn Mein Kuchh Sochta Nikal Aaya in PDF.