Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge

rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge

log palkon pe hasin KHwab sajae honge

waqt ke sath badal jate hain chehre sare

aaj apne hain yahi log parae honge

log isi wajh se pathraw kiya karte hain

aap shishe ki dukan KHub sajae honge

rah hamwar na aasan tha husul-e-manzil

hausle hum ne bahut apne ganwae honge

yunhi ehsas-e-nadamt to nahin un ko 'hasan'

apne hathon se hi ghar apna jalae honge

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge In English By Famous Poet Hasan Nizami. Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Rut Hai Aisi Ki Dar-o-baam Na Sae Honge in PDF.