Gai Ruton Ko Bhi Yaad Rakhna Nai Ruton Ke Bhi Bab PaDhna

gai ruton ko bhi yaad rakhna nai ruton ke bhi bab paDhna

gulab-chehron ne jo likhi hai tamazaton ki kitab paDhna

tamam rangon ki ek rangat tamam mausam ki ek nighat

tamam chehre hasin likhna tamam aankhen sarab paDhna

har ek aangan KHamosh pahre har ek lab par sukut tari

hamare ghar ghar jo TuTte hain qayamaton ke azab paDhna

khuli fazaon mein par-kushai mere lahu ka KHamir Thahri

magar mere un kaTe paron mein uDan ke iztirab paDhna

mere KHayalon mein aaj bhi hain wo bankpan ki mahakti raaten

kisi ki aankhon se jam pina kisi badan ke gulab paDhna

bas ek rasta hai guftugu ka bas ek surat hai rabte ki

KHaton mein un se sawal karna KHaton mein un ke jawab paDhna

'hasan' hamari udas aankhen kisi ki aankhon se kah rahi hain

jo hum ne tum ne kabhi bune the visal-lamhon ke KHwab paDhna

(1537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gai Ruton Ko Bhi Yaad Rakhna Nai Ruton Ke Bhi Bab PaDhna In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Gai Ruton Ko Bhi Yaad Rakhna Nai Ruton Ke Bhi Bab PaDhna is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Gai Ruton Ko Bhi Yaad Rakhna Nai Ruton Ke Bhi Bab PaDhna for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Gai Ruton Ko Bhi Yaad Rakhna Nai Ruton Ke Bhi Bab PaDhna in PDF.