Hawa Ke RuKH Par Charagh-e-ulfat Ki Lau BaDha Kar Chala Gaya Hai

hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai

wo ek diye se na jaane kitne diye jala kar chala gaya hai

hum us ki baaton ki barishon mein har ek mausam mein bhigte the

wo apni chahat ke sare manzar hamein dikha kar chala gaya hai

usi ke bare mein harf likkhe usi pe hum ne ghazal kahi hai

jo kajli aankhon se mere dil mein naqab laga kar chala gaya hai

mata-e-jaan bhi usi pe wari usi ke dam se hai sans jari

mere badan mein wo KHushbuon ki hawa basa kar chala gaya hai

ye fasl-e-fikr-o-KHayal apni usi ke dam se hari-bhari hai

jo kachche koThon ke aanganon se dhuan uTha kar chala gaya hai

hamari aankhon mein ratjage ki jhaDi lagi hai usi ghaDi se

ki jab se koi ghazal apni jhalak dikha kar chala gaya hai

hiran mohabbat ke sabza-zaron mein jaane kab chaukDi bharenge

wo jate jate sawal aisa 'hasan' uTha kar chala gaya hai

(1528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke RuKH Par Charagh-e-ulfat Ki Lau BaDha Kar Chala Gaya Hai In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Hawa Ke RuKH Par Charagh-e-ulfat Ki Lau BaDha Kar Chala Gaya Hai is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Hawa Ke RuKH Par Charagh-e-ulfat Ki Lau BaDha Kar Chala Gaya Hai for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Hawa Ke RuKH Par Charagh-e-ulfat Ki Lau BaDha Kar Chala Gaya Hai in PDF.