Khilne Lage Hain Phul Aur Patte Hare Hue

khilne lage hain phul aur patte hare hue

lagte hain peD sare ke sare bhare hue

suraj ne aankh khol ke dekha zamin ko

sae andheri raat ke jhaT se hare hue

mil kar karen wo kaam jo pahle kiye gae!

arsa hua hai kaam bhi aise kare hue

kaisi ajib rut hai parinde gharon se ab

nikle nahin hain KHauf ke mare Dare hue

aata hai roz KHwab mein wo paikar-e-jamal

aankhon ki gagaron ko haya se bhare hue

phir se kisi pe zulm kisi ne kiya hai aaj

dekhe hain ghonslon mein parinde mare hue

mashal liye hue koi aaega ab 'hasan'

baiThe hain kab se taq mein aankhen dhare hue

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khilne Lage Hain Phul Aur Patte Hare Hue In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Khilne Lage Hain Phul Aur Patte Hare Hue is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Khilne Lage Hain Phul Aur Patte Hare Hue for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Khilne Lage Hain Phul Aur Patte Hare Hue in PDF.