Kabhi Sham-e-hijr Guzarte Kabhi Zulf-e-yar Sanwarte

kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte

kaTi umr apni qafas qafas teri KHushbuon ko pukarte

na wo mah-jabinon ki Toliyan na wo rang rang ki boliyan

na mohabbaton ki wo baziyan kabhi jitte kabhi haarte

wo jo aarzuon ke KHwab the wo KHayal the wo sarab the

sar-e-dasht ek bhi gul na tha jise aansuon se sanwarte

tha jo ek lamha visal ka wo riyaz tha kai sal ka

wahi ek pal mein guzar gaya jise umr guzri pukarte

the jo jaan se bhi aziz-tar rahe umr bhar wahi be-KHabar

thi ye aarzu mere chaara-gar meri naw par utarte

nahin lab pe koi sawal tha mera dil tamam malal tha

main KHamosh dar pe khaDa raha rahe wo bhi gesu sanwarte

(1197) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Sham-e-hijr Guzarte Kabhi Zulf-e-yar Sanwarte In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Kabhi Sham-e-hijr Guzarte Kabhi Zulf-e-yar Sanwarte is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Kabhi Sham-e-hijr Guzarte Kabhi Zulf-e-yar Sanwarte for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Kabhi Sham-e-hijr Guzarte Kabhi Zulf-e-yar Sanwarte in PDF.