Jo Baat Haqiqat Ho Be-KHauf-o-KHatar Kahiye

jo baat haqiqat ho be-KHauf-o-KHatar kahiye

main is ka nahin qail shabnam ko guhar kahiye

lafzon ki hararat se ajsam pighal jaen

sanjida zara ho kar ashaar agar kahiye

apnon ne pilae hain zahrab ke ghunT akasr

honTon pe jo KHushki hai talKHi ka asar kahiye

bazar-e-tasannoa ke jalwon ki numaish ko

TuTe hue shishon ka adna sa khanDar kahiye

jazbaat ka KHun kar dun ehsas kuchal Dalun

zaKHmon se lahu Tapke sau bar agar kahiye

taKHliq-e-ajussa ya 'hafiz' ki ghazal 'rahbar'

jis se ho baqa fan ki mearaj-e-hunar kahiye

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Baat Haqiqat Ho Be-KHauf-o-KHatar Kahiye In English By Famous Poet Haseeb Rehbar. Jo Baat Haqiqat Ho Be-KHauf-o-KHatar Kahiye is written by Haseeb Rehbar. Read famous Poem Jo Baat Haqiqat Ho Be-KHauf-o-KHatar Kahiye for youth and Student by Haseeb Rehbar. Free Download Jo Baat Haqiqat Ho Be-KHauf-o-KHatar Kahiye in PDF.