Dard Aasani Se Kab Pahlu Badal Kar Nikla

dard aasani se kab pahlu badal kar nikla

aankh ka tinka bahut aankh masal kar nikla

tere mehman ke swagat ka koi phul the hum

jo bhi nikla hamein pairon se kuchal kar nikla

shahr ki aankhen badalna to mere bas mein na tha

ye kiya main ne ki main bhes badal kar nikla

mere raste ke masail the nokile itne

mere dushman bhi mere pairon se chal kar nikla

Dagmagane na diye panw rawa-dari ne

main sharabi tha magar roz sambhal kar nikla

(1330) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Aasani Se Kab Pahlu Badal Kar Nikla In English By Famous Poet Haseeb Soz. Dard Aasani Se Kab Pahlu Badal Kar Nikla is written by Haseeb Soz. Read famous Poem Dard Aasani Se Kab Pahlu Badal Kar Nikla for youth and Student by Haseeb Soz. Free Download Dard Aasani Se Kab Pahlu Badal Kar Nikla in PDF.