Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai

hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai

ye angrezi dawaen hain reaction ho bhi sakta hai

kisi mathe pe har dam ek hi label nahin rahta

bhikari chand hafton mein mahajan ho bhi sakta hai

siyasat naqli noTon ki tarah dhoke se chalti hai

jise rahbar samajhte ho wo rahzan ho bhi sakta hai

mere bachchon kahan tak bap ke kandhon pe baiThoge

kisi din fail us gaDi ka engine ho bhi sakta hai

kabhi chashma haTa kar dekh aankhon se tassub ka

tere daman se ujla mera daman ho bhi sakta hai

(2066) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai In English By Famous Poet Haseeb Soz. Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai is written by Haseeb Soz. Read famous Poem Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai for youth and Student by Haseeb Soz. Free Download Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai in PDF.