Wo Ek Raat Ki Gardish Mein Itna Haar Gaya

wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya

libas pahne raha aur badan utar gaya

hasab-nasab bhi kirae pe log lane lage

hamare hath se ab ye bhi karobar gaya

use qarib se dekha to kuchh shifa pai

kai baras mein mere jism se buKHar gaya

tumhaari jit ka matlab hai jang phir hogi

hamari haar ka matlab hai intishaar gaya

tu ek sal mein ek sans bhi na ji paya

main ek sajde mein sadiyan kai guzar gaya

(1723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek Raat Ki Gardish Mein Itna Haar Gaya In English By Famous Poet Haseeb Soz. Wo Ek Raat Ki Gardish Mein Itna Haar Gaya is written by Haseeb Soz. Read famous Poem Wo Ek Raat Ki Gardish Mein Itna Haar Gaya for youth and Student by Haseeb Soz. Free Download Wo Ek Raat Ki Gardish Mein Itna Haar Gaya in PDF.