Wo Mere Shahr Mein Aata Hai Chala Jata Hai

wo mere shahr mein aata hai chala jata hai

sab ko diwana banata hai chala jata hai

zindagi jis ki ujaD jati hai is se puchho

zalzala shahr mein aata hai chala jata hai

ek do bund baras kar ye garajta baadal

dasht ki pyas baDhata hai chala jata hai

naKHuda hi nahin maujon ka thapeDa aksar

kashtiyan par lagata hai chala jata hai

kaun wo kursi-nashin hai ki har aane wala

sar-e-taslim jhukata hai chala jata hai

jaane kab se wo sar-e-sham mazar-e-dil par

sham-e-ummid jalata hai chala jata hai

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Shahr Mein Aata Hai Chala Jata Hai In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Wo Mere Shahr Mein Aata Hai Chala Jata Hai is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Wo Mere Shahr Mein Aata Hai Chala Jata Hai for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Wo Mere Shahr Mein Aata Hai Chala Jata Hai in PDF.