Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main

haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main

tum samajhte ho yun hi tasKHir ho jaunga main

ishq mein is ke sawa main kuchh nahin kar paunga

hu-ba-hu jaanan teri taswir ho jaunga main

sath chhuTega nahin apna safar mein umr ke

rahguzar tu aur tera rah-gir ho jaunga main

aayaten mansub hain tujh se rumuz-e-ishq ki

aur inhi aayat ki tafsir ho jaunga main

gham uThata hun ghazal kahta hun jita rahta hun

log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main In English By Famous Poet Hasnain Aaqib. Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main is written by Hasnain Aaqib. Read famous Poem Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main for youth and Student by Hasnain Aaqib. Free Download Haar Kar Bazi Phir Ek Tadbir Ho Jaunga Main in PDF.