KHana-e-dil Ki Moattar Bhi Bahut Lagta Hai

KHana-e-dil ki moattar bhi bahut lagta hai

teri yaadon se munawwar bhi bahut lagta hai

garche halka sa dhundlaka hai tasawwur bhi tera

band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai

sochte hain ki jiyenge tujhe ji bhar ke magar

zindagi tujh se hamein Dar bhi bahut lagta hai

puchh hum se ki haqiqat mein hai kya tera wajud

tere shanon pe ye ek sar bhi bahut lagta hai

farq kuchh bhi nahin ehsas-e-tashaKHKHus ke siwa

darmiyan apne ye antar bhi bahut lagta hai

hum qanaat pe guzar karte hain 'aqib' hum ko

kachchi diwaron ka ek ghar bhi bahut lagta hai

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHana-e-dil Ki Moattar Bhi Bahut Lagta Hai In English By Famous Poet Hasnain Aaqib. KHana-e-dil Ki Moattar Bhi Bahut Lagta Hai is written by Hasnain Aaqib. Read famous Poem KHana-e-dil Ki Moattar Bhi Bahut Lagta Hai for youth and Student by Hasnain Aaqib. Free Download KHana-e-dil Ki Moattar Bhi Bahut Lagta Hai in PDF.