Khoe Hue Palon Ki Koi Baat Bhi To Ho

khoe hue palon ki koi baat bhi to ho

wo mil gaya hai us se mulaqat bhi to ho

barbaad main hua to ye bola amir-e-shahr

coffee nahin hai itna, fana zat bhi to ho

duniya ki mujh pe lakh nawazish sahi magar

mary taraqqiyon mein tera hat bhi to ho

milti hain gor yan to sar-e-rah bhi magar

panghaT ho gagari ho wo dehat bhi to ho

haare to laziman use koi panah de

hum se laDe jo us ki ye auqat bhi to ho

kaTti hai shab visal ki palken jhapakte hi

jis ki subh na ho kabhi wo raat bhi to ho

lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal

sheron mein thoDi garmi-e-jazbaat bhi to ho

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khoe Hue Palon Ki Koi Baat Bhi To Ho In English By Famous Poet Hasnain Aaqib. Khoe Hue Palon Ki Koi Baat Bhi To Ho is written by Hasnain Aaqib. Read famous Poem Khoe Hue Palon Ki Koi Baat Bhi To Ho for youth and Student by Hasnain Aaqib. Free Download Khoe Hue Palon Ki Koi Baat Bhi To Ho in PDF.