Bhare Safar Mein GhaDi-bhar Ka Aashna Na Mila

bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila

shadid pyas mein sahra sarab sa na mila

guzar gae to hazaron nishan the pahle se

palaT ke aae to apna hi naqsh-e-pa na mila

kabhi jo dhup to paikar pighal gae sare

koi bhi naqsh mujhe mere KHwab sa na mila

ruke hue sabhi aansu chhalak gae lekin

wo shaKHs phir bhi nigahon se bolta na mila

Thahar gai thi mere pas chandni ki use

tumhaare shahar mein koi bhi jagta na mila

hawa ke sath hi aawaz lauT aai hai

KHala mein phirti rahi koi ham-nawa na mila

chala to meri nazar mein hazar rahen thin

bhaTak gaya to mujhe ghar ka rasta na mila

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhare Safar Mein GhaDi-bhar Ka Aashna Na Mila In English By Famous Poet Hasnain Jafri. Bhare Safar Mein GhaDi-bhar Ka Aashna Na Mila is written by Hasnain Jafri. Read famous Poem Bhare Safar Mein GhaDi-bhar Ka Aashna Na Mila for youth and Student by Hasnain Jafri. Free Download Bhare Safar Mein GhaDi-bhar Ka Aashna Na Mila in PDF.