Ab Tujhse Phira Ye Dil-e-nakaam Hamara

ab tujh se phira ye dil-e-nakaam hamara

us kuche mein kam hi rahega kaam hamara

hai saKHt mere darpa-e-jaan tera gham-e-hijr

jaanan se kahe ja koi paigham hamara

jagir mein hai ghair ki wo bosa-e-lab go

qaem rahe ye mansab-e-dushnam hamara

hone nahin pate ye mere dida-e-tar KHushk

daulat se teri tar hai sada jam hamara

do din mein kisi kaam ka rahne ka nahin tu

kuchh tujh se nikal le kabhi to kaam hamara

ek roz mila aalam-e-masti mein jo hum se

tanha but-e-badmast mai-asham hamara

shamshir alam kar ke laga kahne rakhun Thor

badnam tu karta phire hai nam hamara

ayyam ke har zikr se aur fikr se farigh

ya ishq hai wird-e-sahar-o-sham hamara

hota na farebanda-e-dil kash ke 'hasrat'

aaghaz mein ye ishq-e-bad-anjam hamara

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tujhse Phira Ye Dil-e-nakaam Hamara In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Ab Tujhse Phira Ye Dil-e-nakaam Hamara is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Ab Tujhse Phira Ye Dil-e-nakaam Hamara for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Ab Tujhse Phira Ye Dil-e-nakaam Hamara in PDF.