Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar

aata hun jab us gali se sau sau KHwari khinch kar

phir wahin le jae mujh ko be-qarari khinch kar

pahuncha hai ab to nihayat ko hamara haal-e-zar

la use jis-tis tarah tasir-e-zari khinch kar

koh-e-gham rakhti hai dil par is KHiram-e-naz se

KHajlat-e-raftar-e-kabk-e-kohsari khinch kar

kis ke shor-e-ishq se yun rota rahta hai sada

nala o fariyaad ye abr-e-bahaari khinch kar

bandhun hun warastagi ka dil mein apne jab KHayal

bandh le jaen hamein zulfen tumhaari khinch kar

kal jo tu ghar se na nikla uTh gaya kar ke dua

subh se ta-sham main kya intizari khinch kar

galiyan de mar le ya qatl kar muKHtar hai

lai ab to yan mujhe be-iKHtiyari khinch kar

saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam

aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch kar

'hasrat' us ki bazm ke jaane se rakh mujh ko muaf

muft mein roega wan se sharmsari khinch kar

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Aata Hun Jab Us Gali Se Sau Sau KHwari Khinch Kar in PDF.