Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr Dil-e-shad Ke Sath

aashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke sath

lab ko nisbat hai mere zamzama-e-dad ke sath

bas ki hai chashm-e-murawwat se bhara girya-zar

paDa phirta hai mere nala-o-fariyaad ke sath

yaad us lutf-e-huzuri ka karen kya hasil

aa paDa kaam faqat ab to teri yaad ke sath

zulm hai haq mein hamare tera ab tark-e-sitam

dil ko hai uns sa ek us teri bedad ke sath

zulf o kakul se qawi husn ka bazu hai mudam

qafas o dam rahe jaise ki sayyaad ke sath

KHun-e-nahaq raha parwez ki gardan pe wale

lutf-e-shirin ne sitam ye kiya farhad ke sath

rasti se bhala itna bhi guzarna kya hai

nisbat is qad ko na do sarw ke shamshad ke sath

dast o pa kar ke main gum nikla dabe-panw kya

mila wo tifl mujhe raat jo ustad ke sath

'hasrat' itna jo tu mail hai giraftari ka

kuchh adawat hai tujhe KHatir-e-azad ke sath

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr Dil-e-shad Ke Sath In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr Dil-e-shad Ke Sath is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr Dil-e-shad Ke Sath for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr Dil-e-shad Ke Sath in PDF.