Dil Ne Paya Jo Mere Muzhda Teri Pati Ka

dil ne paya jo mere muzhda teri pati ka

munh phira su-e-badan jaan-e-ba-lab aati ka

yun to ai yar-e-dil-afroz tu sab ka hai wale

dagh jaan-soz niraya hai meri chhati ka

dil dam-e-ah-e-sahar-KHez chala jata hai

mutriba chup hai tu kyun waqt hai parbhati ka

dil-e-afsurda ko hai soz-e-darun se kya rabt

kaam kya KHana-e-viran mein diye-baati ka

is jahan mein sifat-e-ishq se mausuf hain hum

na karo aib hamare hunar-e-zati ka

yar sun sun ke sab ahwal-e-KHarab-e-'hasrat'

bola kya kaam hai yan aise KHarabaati ka

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ne Paya Jo Mere Muzhda Teri Pati Ka In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Dil Ne Paya Jo Mere Muzhda Teri Pati Ka is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Dil Ne Paya Jo Mere Muzhda Teri Pati Ka for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Dil Ne Paya Jo Mere Muzhda Teri Pati Ka in PDF.