Ek-dam KHushk Mera Dida-e-tar Hai Ki Nahin

ek-dam KHushk mera dida-e-tar hai ki nahin

majare se mere tujh ko bhi KHabar hai ki nahin

yun to uThte hai mere dil se hazaron nale

lekin in KHana-KHarabon mein asar hai ki nahin

haal mera tujhe be-dard nahin gar bawar

dekh le aa ke ki ab nau-e-digar hai ki nahin

mere ghar kyunki tu aawe ki gali-kuchon mein

tere mushtaq kahan aur kidhar hai ki nahin

tujh mein bu pai na mutlaq kahin jinsiyyat ki

nasl-e-adam se tu ai shoKH pisar hai ki nahin

bul-hawas dil ko kar apne zara bas mein 'hasrat'

mard-e-be-sabr tujhe kuchh bhi jigar hai ki nahin

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek-dam KHushk Mera Dida-e-tar Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Ek-dam KHushk Mera Dida-e-tar Hai Ki Nahin is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Ek-dam KHushk Mera Dida-e-tar Hai Ki Nahin for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Ek-dam KHushk Mera Dida-e-tar Hai Ki Nahin in PDF.