Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna

jis ka mayassar na tha bhar ke nazar dekhna

kahta hai KHat aae par Tuk to idhar dekhna

bola wo hans ke ki han dekhe hain tujh se bahut

main jo kaha hai gharaz mujh ko magar dekhna

dekhun na wo din ki main minnat-e-ehsan lun

sham meri ai falak ho na sahar dekhna

roz-e-widaa us ko dekh ek do nazar sair ho

dekh le phir hum kahan aur kidhar dekhna

yar hua be-dimagh sun mera shor-e-junun

aah-o-fughan ka meri yaro asar dekhna

jis ki tu dekhe hai rah meri nazar mein hai KHub

ek dam idhar dekhna ek dam adhar dekhna

itna gaya-guzra bhi mujh ko na wan se samajh

ghair tu us kuche se phir to guzar dekhna

KHilqat-e-KHuban ke bich qubah-e-KHuda nikle hai

aib hai use munkiro husn agar dekhna

dida-e-barik-bin rah-e-adam par ho jun

marg pe dil dharna hai us ki kamar dekhna

'hasrat' use dil-kusha jaise hai dariya ki sair

mere lab-e-KHushk aur dida-e-tar dekhna

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Jis Ka Mayassar Na Tha Bhar Ke Nazar Dekhna in PDF.