Jaan Kar Kahta Hai Humse Apne Jaane Ki KHabar

jaan kar kahta hai hum se apne jaane ki KHabar

ji Duba deti hai mera ye bahane ki KHabar

is chaman mein kaun hai dil-soz apna tujh siwa

rakhiyo Tuk ai barq mere aashiyane ki KHabar

puchhta nin apne kuche mein tu mera haal hae

le thi laila dasht mein apne diwane ki KHabar

hain qafas mein jab se hum us sang-dil sayyaad ke

ashk hi leta hai mera aab-o-dane ki KHabar

hum na jaanen kis taraf kaba hai aur kidhar hai dair

ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki KHabar

har gul-e-dagh-e-junun par aur hai kuchh aab-o-rang

pher hai gulshan mein goya gul ke aane ki KHabar

aaj sine mein mere dil hai nipaT hi be-qarar

de hai 'hasrat' ghair ke ghar us ke jaane ki KHabar

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Kar Kahta Hai Humse Apne Jaane Ki KHabar In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Jaan Kar Kahta Hai Humse Apne Jaane Ki KHabar is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Jaan Kar Kahta Hai Humse Apne Jaane Ki KHabar for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Jaan Kar Kahta Hai Humse Apne Jaane Ki KHabar in PDF.