Ishq Mein Gul Ke Jo Nalan Bulbul-e-ghamnak Hai

ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

gul bhi us ke gham mein dekho kiya gareban-chaak hai

dagh-bar-dagh ashk-bar-ashk apni chashm o dil mein hain

kya bala gul-KHez ai yaro ye musht-e-KHak hai

ai KHizar jaun kahan main kucha-e-mai-KHana chhoD

KHush-dili ka maulid o mansha ye KHak-e-pak hai

gharq-sar-ta-pa hun bahr-e-be-karan-e-KHun mein main

aashna puchhe hai to ye chashm kyun namnak hai

sarw ki nisbat se us qadd-e-bala baala ko kya

KHushk chob-e-pa bigul ye wo qad-e-chaalak hai

hae kin aankhon se dekhun us ruKH-e-raushan pe KHat

chashma-e-KHurshid mein ye kya KHas-o-KHashak hai

kafir o momin ko riqqat gham mein hai 'hasrat' ke hae

kuchh KHuda ka Dar bhi tujh ko ai but-e-bebak hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Gul Ke Jo Nalan Bulbul-e-ghamnak Hai In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Ishq Mein Gul Ke Jo Nalan Bulbul-e-ghamnak Hai is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Ishq Mein Gul Ke Jo Nalan Bulbul-e-ghamnak Hai for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Ishq Mein Gul Ke Jo Nalan Bulbul-e-ghamnak Hai in PDF.