In Donon Ghar Ka KHana-KHuda Kaun Ghair Hai

in donon ghar ka KHana-KHuda kaun ghair hai

shaiKH-e-haram abas the inkar-e-dair hai

ai yar-e-be-KHabar tu meri le na le KHabar

wird-e-zaban tera hi mujhe zikr-e-KHair hai

ghibat mein kya talluq use yaad se meri

kuchh kaam us ka aTka bhala mujh baghair hai

parwa hai kab use mere rafa-e-malal se

gah shaghil-e-shikar kabhi gasht-e-sair hai

be-wajh kya hain hum se ye be-ruiyan teri

kya hum mein aur tujh mein kisi ru se bair hai

insan rakkhe ishq ki nisbat se imtiyaz

yun qaid-e-KHwab-o-KHur mein to har wahsh wa tair hai

apni gali mein dekh ke 'hasrat' ko bola yar

chal ja pare ho dur agar teri KHair hai

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Donon Ghar Ka KHana-KHuda Kaun Ghair Hai In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. In Donon Ghar Ka KHana-KHuda Kaun Ghair Hai is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem In Donon Ghar Ka KHana-KHuda Kaun Ghair Hai for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download In Donon Ghar Ka KHana-KHuda Kaun Ghair Hai in PDF.