Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To

kab talak hum ko na aawega nazar dekhen to

kaise tarsata hai ye dida-e-tar dekhen to

ishq mein us ke ki guzre hain sar o jaan se hum

apni kis taur se hoti hai guzar dekhen to

kar ke wo jaur-o-sitam hans ke laga ye kahne

aah o afghan ka teri hum bhi asar dekhen to

sabr ho sakta hai kab hum se wale maslahatan

aazmaish dil-e-betab ki kar dekhen to

Dhab chaDhe ho mere tum aaj hi to muddat baad

jaenge aap kahan aur kidhar dekhen to

kis dileri se kare hai tu fida jaan us par

dil-e-jaan-baz tera hum bhi hunar dekhen to

kya majal apni jo kuchh kah saken hum tujh se aur

tujh ko bhar kar nazar ai shoKH pisar dekhen to

ho chalin KHira to aKHtar-shumari se aankhen

shab hamari bhi kabhi hogi sahar dekhen to

ishq ke sadme uThane nahin aasan 'hasrat'

kar sake koi hamara sa jigar dekhen to

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Kab Talak Hum Ko Na Aawega Nazar Dekhen To in PDF.