Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul

phiri si dekhta hun is chaman ki kuchh hawa bulbul

tujhe fursat hai jab tak aashiyan yan se uTha bulbul

tu aashiq hai wafa tera hunar hai ishq mein warna

mera gul be-wafa hai kya ise qadr-e-wafa bulbul

dar-e-rahmat KHuda ka baz hai dil apna taza rakh

qafas mein hasrat-e-gul se mat itna phaDphaDa bulbul

tujhe ai baghban ek musht-e-par se kya adawat hai

bahaar aaKHir hai do din mein kuja gul phir kuja bulbul

KHizan-e-shum ye gulshan ke haq mein kya qayamat hai

ki is ke aate hi be-barg ho gul be-nawa bulbul

dil aasuda na paya kya KHizan aur kya bahaar is ko

mohabbat mein rakhe hai turfa dard-e-be-dawa bulbul

bhara hai neamat-e-alwan se gul ka KHwan go 'hasrat'

kare har subh uTh kar KHun-e-dil se nashta bulbul

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Phiri Si Dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul in PDF.