Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar

qasid-e-KHush-fal laya us ke aane ki KHabar

dil to KHush karta hai bare ye bahane ki KHabar

wo but-e-be-raham hum se yun judai kar gaya

hae kis kafir ko thi is bad zamane ki KHabar

bulbulo do din ghanimat hai ye fursat aish ki

bagh se hai aaj kal hi gul ke jaane ki KHabar

ta-abad KHali rahe ya-rab dilon mein us ki ja

jo koi lawe mere ghar us ke aane ki KHabar

mere dil ko nisbat-e-farhad-o-majnun aar hai

dur ho mujh ko nahin hai is diwane ki KHabar

kaun kis ki ishq ke zindan mein gham-KHwari kare

KHun-e-dil leta hai mere pine khane ki KHabar

aa gaya nadan tu us ke fareb-e-lutf mein

mujh ko 'hasrat' sab thi us ke dil lubhane ki KHabar

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Qasid-e-KHush-fal Laya Uske Aane Ki KHabar in PDF.