Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil

rah-raste mein tu yun rahta hai aa kar hum se mil

kam gaya lekin wo yar-e-KHangi ghar hum se mil

dil taDapta hai paDa is sina-e-sad-chaak mein

khol kar band-e-qaba tu ai saman-bar hum se mil

be-niyaz us husn ko aur naz ko barpa rakhe

be-takalluf ho ke tu ai naz-parwar hum se mil

pahunchna tum tak miyan apna to ek ashkal hai

howe ta milna tera hum ko mayassar hum se mil

har musibat bhar ke main pahuncha hun tere dar talak

be-murawwat ek dam aa ghar se bahar hum se mil

ab to us be-dast-o-pa se ho nahin sakti talash

DhunD le kar hum ko ai rizq-e-muqaddar hum se mil

in dinon rahti hai mujh ko be-qarari beshtar

qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar hum se mil

ser rakhti hain meri be-tabien us waqt zor

harf hamara gar nahin hai tujh ko bawar hum se mil

ho gaya teri hawa-KHwahi mein 'hasrat' tu ba-baad

baiTha kya hai KHak mein hum ko mila kar hum se mil

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Rah-raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil in PDF.