Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par

rakha pa jahan mein nagara zamin par

bahut sar ko wan hum ne mara zamin par

junun josh mare hai diwar-o-dar se

hua kis pari ka guzara zamin par

nahin hai ye aah-e-falak sa ki hum ne

alam shor-e-sauda ka gaDha zamin par

qadam jis jagah rakkha us sang-dil ne

na ho wan ba-juz sang-e-KHara zamin par

nazar se teri jis ne hum ko giraya

falak se uTha kar ke mara zamin par

tu ru-e-zamin dekh le sair ho kar

na hoga guzar phir dobara zamin par

tere naqsh-e-pa ko kahe apna ham-sar

nahin hai ye munh to hamara zamin par

wo zohra-jabin mehrban howe 'hasrat'

kahan hai ye apna sitara zamin par

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Rakha Pa Jahan Mein Nagara Zamin Par in PDF.