Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish

wafa ke hain KHwan par niwale ze-aab awwal doam ba-atish

bhare hai saqi yahan pyale ze-ab awwal doam ba-atish

chaman mein josh-e-junun ke hain ashk aur dagh-e-darun se apne

karun shagufta gul aur lale ze-ab awwal doam ba-atish

hamare ashk aur aah ki maujen bandh deti hain sab jo duri

bane hain mah-e-falak pe haale ze-ab awwal doam ba-atish

jahan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un mein kuchh na lazzat

do roz chhati yahan pakale ze-ab awwal doam ba-atish

do hukm hain shah-e-ishq ke in mein ek galna hai ek jalna

hain daftar-e-dard mein qabaale ze-ab awwal doam ba-atish

na khol waiz kitab-e-danish ki aatish-e-ishq o aab-e-mai se

dhoun jalaun tere risale ze-ab awwal doam ba-atish

sitam hai aafat hai mahr ya kin bala ye ishq-e-satiza-gar ki

dilon ke KHane ujaD Dale ze-ab awwal doam ba-atish

paDe hain hum KHun-e-dil mein ghaltan jigar hai dagh-e-jafa se sozan

koi hai apne tain sambhaale ze-ab awwal doam ba-atish

visal ki justuju mein 'hasrat' chala na zari na zor ka kuchh

bahut se yan hum ne Dhab nikale ze-ab awwal doam ba-atish

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Wafa Ke Hain KHwan Par Niwale Ze-aab Awwal Doam Ba-atish in PDF.