Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya

us zulf se dil ho kar aazad bahut roya

ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut roya

rahm us ko na tha hargiz har chand bahaal-e-sag

us kuche mein main kar kar fariyaad bahut roya

mazlumi meri aur zulm dekh us but-e-kafir ka

rahm aaya sitam ke tain be-dad bahut roya

dil gham se na ho KHali rone se mera lekin

ta ho mere rone se wo shad bahut roya

is ishq ki majburi naseh pe khuli jab se

kar mana-e-mohabbat ka irshad bahut roya

dekhi na KHuda-tarsi ek gabr o musalman se

har ek se talab kar kar main dad bahut roya

anjam mohabbat ka bujha tha magar us ko

jab dil laga shirin se farhad bahut roya

hai taza-giraftaron ki fariyaad ko kya riqqat

shab nala mera sun kar sayyaad bahut roya

sangin-dili us but ki main jis se kahi 'hasrat'

har-chand dil us ka tha faulad bahut roya

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Us Zulf Se Dil Ho Kar Aazad Bahut Roya in PDF.