Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga

baam par aane lage wo samna hone laga

ab to izhaar-e-mohabbat barmala hone laga

ishq se phir KHatra-e-tark-e-wafa hone laga

phir fareb-e-husn sargarm-e-ada hone laga

kya kaha main ne jo nahaq tum KHafa hone lage

kuchh suna bhi ya ki yunhi faisla hone laga

ab gharibon par bhi saqi ki nazar paDne lagi

baada-e-pas-KHurda hum ko bhi ata hone laga

meri ruswai se shikwa hai ye un ke husn ko

ab jise dekho wo mera mubtala hone laga

yaad phir us bewafa ki har ghaDi rahne lagi

phir usi ka tazkira subh o masa hone laga

kuchh na puchha haal kya tha KHatir-e-betab ka

un se jab majbur ho kar main juda hone laga

shauq ki betabiyan had se guzar jaane lagin

wasl ki shab wa jo wo band-e-qaba hone laga

kasrat-e-ummid bhi aish-afrin hone lagi

intizar-e-yar bhi rahat-faza hone laga

ghair se mil kar unhen nahaq hua mera KHayal

mujh se kya matlab bhala main kyun KHafa hone laga

qaid-e-gham se tere jaan aazad kyun hone lagi

dam-e-gesu se tere dil kyun riha hone laga

kya hua 'hasrat' wo tera iddaa-e-zabt-e-gham

do hi din mein ranj-e-furqat ka gila hone laga

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Baam Par Aane Lage Wo Samna Hone Laga in PDF.