Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun

badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun

ab tujhe ai sitam-e-yar kahan se laun

pursish-e-haal pe hai KHatir-e-jaanan mail

jurat-e-koshish-e-izhaar kahan se laun

hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez

iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun

nur anqa hai shab-e-hijr ki tariki mein

jalwa-e-subh ke aasar kahan se laun

sohbat-e-ahl-e-safa KHub hai mana lekin

raunaq-e-KHana-e-KHummar kahan se laun

sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'

'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Badal-e-lazzat-e-azar Kahan Se Laun in PDF.