Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki

barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki

wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki

shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal

kuchh nihayat hi nahin teri daraKHshani ki

mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib

aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki

jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe

kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki

sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka KHayal

aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki

wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa

tu ne di ho jise KHidmat namak-afshani ki

mushkilon se jo muqabil hui himmat meri

qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki

rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat

khinch gai shakl meri soKHta-samani ki

rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat'

kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Barkaten Sab Hain Ayan Daulat-e-ruhani Ki in PDF.