Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka

dua mein zikr kyun ho muddaa ka

ki ye shewa nahin ahl-e-raza ka

talab meri bahut kuchh hai magar kya

karam tera hai ek dariya ata ka

kahan tak naz uThae aaKHir ai husn

hawas tere mizaj-e-KHud sata ka

nahin malum kya ai shah-e-KHuban

tujhe kuchh haal apne mubtila ka

baja-e-ism-e-azam aap ka nam

wazifa hai mera subh o masa ka

ghazab ka samna hai aashiqon ko

dayar-e-haq mein afwaj-e-bala ka

nisar un par hue achchhe rahe hum

taqaza tha yahi KHu-e-wafa ka

gunahgaro chalo afw-e-ilahi

bahut mushtaq hai arz-e-KHata ka

teri mahfil mein ahl-e-dil ko jalwa

nazar aa jaega shan-e-KHuda ka

uThaya hai maza dil ne bahut kuchh

mohabbat ke gham-e-rahat-faza ka

jafa ko bhi wafa samjho ki 'hasrat'

tumhein haq un se kya chun-o-chara ka

(2421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Dua Mein Zikr Kyun Ho Muddaa Ka in PDF.