Faiz-e-mohabbat Se Hai Qaid-e-mihan

faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan

mere liye ek bala-e-hasan

sham-e-ghariban ke barabar kahan

mazhab-e-ushshaq mein subh-e-watan

aah wo ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb

silsila-e-zulf shikan dar shikan

fitna-e-jaan wo suKHan-e-dil-pazir

dushman-e-din wo nigah-e-sahar-fan

jalwa-e-jaanan se hai dar-us-surur

KHana-e-jaan ab nahin bait-ul-huzn

mehr o murawwat se tumhein wasta

ye bhi harifon ka hai ek husn-e-zan

jab se kaha ishq ne 'hasrat' mujhe

koi bhi kahta nahin fazl-ul-hasan

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faiz-e-mohabbat Se Hai Qaid-e-mihan In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Faiz-e-mohabbat Se Hai Qaid-e-mihan is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Faiz-e-mohabbat Se Hai Qaid-e-mihan for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Faiz-e-mohabbat Se Hai Qaid-e-mihan in PDF.