Husn-e-be-parwa Ko KHud-bin O KHud-ara Kar Diya

husn-e-be-parwa ko KHud-bin o KHud-ara kar diya

kya kiya main ne ki izhaar-e-tamanna kar diya

baDh gain tum se to mil kar aur bhi betabiyan

hum ye samjhe the ki ab dil ko shakeba kar diya

paDh ke tera KHat mere dil ki ajab haalat hui

iztirab-e-shauq ne ek hashr barpa kar diya

hum rahe yan tak teri KHidmat mein sargarm-e-niyaz

tujh ko aaKHir aashna-e-naz-e-beja kar diya

ab nahin dil ko kisi surat kisi pahlu qarar

us nigah-e-naz ne kya sehr aisa kar diya

ishq se tere baDhe kya kya dilon ke martabe

mehr zarron ko kiya qatron ko dariya kar diya

kyun na ho teri mohabbat se munawwar jaan o dil

shama jab raushan hui ghar mein ujala kar diya

teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal

dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya

sab ghalat kahte the lutf-e-yar ko wajh-e-sukun

dard-e-dil us ne to 'hasrat' aur duna kar diya

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-be-parwa Ko KHud-bin O KHud-ara Kar Diya In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Husn-e-be-parwa Ko KHud-bin O KHud-ara Kar Diya is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Husn-e-be-parwa Ko KHud-bin O KHud-ara Kar Diya for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Husn-e-be-parwa Ko KHud-bin O KHud-ara Kar Diya in PDF.