Jo Wo Nazar Basar-e-lutf Aam Ho Jae

jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae

ajab nahin ki hamara bhi kaam ho jae

sharab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz

agar ye bais-e-kaif-e-dawam ho jae

rahin-e-yas rahen ahl-e-arzu kab tak

kabhi to aap ka darbar aam ho jae

jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur

to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae

wo dur hi se hamein dekh len yahi hai bahut

magar qubul hamara salam ho jae

agar wo husn-e-dil-ara kabhi ho jalwa farosh

farogh-e-nur mein gum zarf-e-baam ho jae

suna hai bar-sar-e-baKHshish hai aaj pir mughan

hamein bhi kash ata koi jam ho jae

tere karam pe hai mauquf kaamrani-e-shauq

ye na-tamam ilahi tamam ho jae

sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata

hamein hai bas jo yahi iltizam ho jae

ata ho soz wo ya rab junun-e-'hasrat' ko

ki jis se puKHta ye sauda-e-KHam ho jae

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Wo Nazar Basar-e-lutf Aam Ho Jae In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Jo Wo Nazar Basar-e-lutf Aam Ho Jae is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Jo Wo Nazar Basar-e-lutf Aam Ho Jae for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Jo Wo Nazar Basar-e-lutf Aam Ho Jae in PDF.