Kaise Chhupaun Raaz-e-gham Dida-e-tar Ko Kya Karun

kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun

dil ki tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun

shorish-e-ashiqi kahan aur meri sadgi kahan

husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya karun

gham ka na dil mein ho guzar wasl ki shab ho yun basar

sab ye qubul hai magar KHauf-e-sahar ko kya karun

haal mera tha jab batar tab na hui tumhein KHabar

baad mere hua asar ab main asar ko kya karun

(2634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Chhupaun Raaz-e-gham Dida-e-tar Ko Kya Karun In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Kaise Chhupaun Raaz-e-gham Dida-e-tar Ko Kya Karun is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Kaise Chhupaun Raaz-e-gham Dida-e-tar Ko Kya Karun for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Kaise Chhupaun Raaz-e-gham Dida-e-tar Ko Kya Karun in PDF.