KHu Samajh Mein Nahin Aati Tere Diwanon Ki

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

damanon ki na KHabar hai na girebanon ki

jalwa-e-saghar-o-mina hai jo ham-rang-e-bahaar

raunaqen turfa taraqqi pe hain mai-KHanon ki

har taraf be-KHudi o be-KHabari ki hai numud

qabil-e-did hai duniya tere hairanon ki

sahl is se to yahi hai ki sambhaalen dil ko

minnaten kaun kare aap ke darbanon ki

aankh wale teri surat pe miTe jate hain

sham-e-mahfil ki taraf bhiD hai parwanon ki

ai jafakar tere ahd se pahle to na thi

kasrat is darja mohabbat ke pashimanon ki

raaz-e-gham se hamein aagah kiya KHub kiya

kuchh nihayat hi nahin aap ke ehsanon ki

dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns

shakl pariyon ki hai KHu bhi nahin insanon ki

hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman

sair hum ko bhi mayassar hai bayabanon ki

ek bakheDa hai nazar mein sar-o-saman-e-wajud

ab ye haalat hai tere soKHta-samanon ki

faiz-e-saqi ki ajab dhum hai mai-KHanon mein

har taraf mai ki talab mang hai paimanon ki

aashiqon hi ka jigar hai ki hain KHursand-e-jafa

kafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki

yaad phir taza hui haal se tere 'hasrat'

qais o farhad ke guzre hue afsanon ki

(1455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHu Samajh Mein Nahin Aati Tere Diwanon Ki In English By Famous Poet Hasrat Mohani. KHu Samajh Mein Nahin Aati Tere Diwanon Ki is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem KHu Samajh Mein Nahin Aati Tere Diwanon Ki for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download KHu Samajh Mein Nahin Aati Tere Diwanon Ki in PDF.