KHub-ruyon Se Yariyan Na Gain

KHub-ruyon se yariyan na gain

dil ki be-iKHtiyariyan na gain

aql-e-sabr-ashna se kuchh na hua

shauq ki be-qarariyan na gain

din ki sahra-nawardiyan na chhuTin

shab ki aKHtar-shumariyan na gain

hosh yan sadd-e-rah-e-ilm raha

aql ki harza-kariyan na gain

the jo ham-rang-e-naz un ke sitam

dil ki ummidwariyan na gain

husn jab tak raha nazzara-farosh

sabr ki sharmsariyan na gain

tarz-e-'momin' mein marhaba 'hasrat'

teri rangin-nigariyan na gain

(2218) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

KHub-ruyon Se Yariyan Na Gain In English By Famous Poet Hasrat Mohani. KHub-ruyon Se Yariyan Na Gain is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem KHub-ruyon Se Yariyan Na Gain for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download KHub-ruyon Se Yariyan Na Gain in PDF.