Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se

kya kaam unhen pursish-e-arbab-e-wafa se

marta hai to mar jae koi un ki bala se

mujh se bhi KHafa ho meri aahon se bhi barham

tum bhi ho ajab chiz ki laDte ho hawa se

daman ko bachata hai wo kafir ki mabaada

chhu jae kahin paki-e-KHun-e-shohda se

diwana kiya saqi-e-mahfil ne sabhi ko

koi na bacha us nazar-e-hosh-ruba se

ek ye bhi haqiqat mein hai shan-e-karam un ki

zahir mein wo rahte hain jo har waqt KHafa se

aagah-e-gham-e-ishq nahin wo shah-e-KHuban

aur ye bhi jo ho jae faqiron ki dua se

qail hue rindan-e-KHarabaat ke 'hasrat'

jab kuchh na mila hum ko giroh-e-urfa se

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Kya Kaam Unhen Pursish-e-arbab-e-wafa Se in PDF.