Kya Tumko Ilaj-e-dil-e-shaida Nahin Aata

kya tum ko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata

aata hai par is tarah ki goya nahin aata

ho jati thi taskin so ab fart-e-alam se

is baat ko rote hain ki rona nahin aata

tum ho ki tumhein wada-wafai ki nahin KHu

main hun ki mujhe tum se taqaza nahin aata

hai pas ye kis ki nigah-e-mahw-e-haya ka

lab tak jo mere harf-e-tamanna nahin aata

un ki nigah-e-mast ke jalwe hain nazar mein

bhule se bhi zikr-e-mai-o-mina nahin aata

shoKHi se wo mana-e-sitam puchh rahe hain

ab lafz-e-jafa bhi unhen goya nahin aata

main dard ki lazzat se raza-mand hun 'hasrat'

mujh ko sitam-e-yar ka shikwa nahin aata

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Tumko Ilaj-e-dil-e-shaida Nahin Aata In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Kya Tumko Ilaj-e-dil-e-shaida Nahin Aata is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Kya Tumko Ilaj-e-dil-e-shaida Nahin Aata for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Kya Tumko Ilaj-e-dil-e-shaida Nahin Aata in PDF.