Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai

nazzara-e-paiham ka sila mere liye hai

har samt wo ruKH jalwa-numa mere liye hai

us chehra-e-anwar ki ziya mere liye hai

wo zulf-e-siyah tab-e-dota mere liye hai

zinhaar agar ahl-e-hawas tujh pe fida hun

ye martaba-e-sadq-o-safa mere liye hai

ban kar main razakar muhayya-e-fana hun

aawaza-e-haq bang-e-dara mere liye hai

KHush-nudi-e-fujjar ke pairaw hain yazidi

taqlid-e-shah-e-karb-o-bala mere liye hai

mahrum hun majbur hun be-tab-o-tawan hun

maKHsus tere gham ka maza mere liye hai

sarmaya-e-rahat hai fana ki mujhe talKHi

is zahr mein saman-e-baqa mere liye hai

jannat ki hawas ho to main kafir ki pareshan

us shoKH ki KHushbu-e-qaba mere liye hai

pahle bhi kuchh ummid na thi chaaragaron ko

aur ab to dawa hai na dua mere liye hai

mar jaunga mai-KHane se nikla jo kabhi main

nazzara-e-mai ruh-faza mere liye hai

tashKHis-e-tabiban pe hansi aati hai 'hasrat'

ye dard-e-jigar hai ki dawa mere liye hai

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Nazzara-e-paiham Ka Sila Mere Liye Hai in PDF.