Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi

na surat kahin shadmani ki dekhi

bahut sair duniya-e-fani ki dekhi

meri chashm-e-KHun-bar mein KHub rah kar

bahaar aap ne gul-fishani ki dekhi

tamanna ne us ru-e-zeba ko dekha

ki taswir husn-e-jawani ki dekhi

ajab shauq se dast-e-saqi mein hum ne

surahi mai-e-arghawani ki dekhi

zahe rob-e-husn un ke dar par kisi ne

zarurat na kuchh pasbani ki dekhi

na tum sa KHush-aKHlaq paya na hum ne

kahin shan ye dil-sitani ki dekhi

mujhe kar ke mayus bole wo 'hasrat'

masarrat gham-e-jawedani ki dekhi

(1218) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Na Surat Kahin Shadmani Ki Dekhi in PDF.