Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam

raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam

dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

hairat ghurur-e-husn se shoKHi se iztirab

dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam

allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud

ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam

dil KHun ho chuka hai jigar ho chuka hai KHak

baqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam

dekho to chashm-e-yar ki jadu-nigahiyan

behosh ek nazar mein hui anjuman tamam

hai naz-e-husn se jo farozan jabin-e-yar

labrez aab-e-nur hai chah-e-zaqan tamam

nash-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein

shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam

us naznin ne jab se kiya hai wahan qayam

gulzar ban gai hai zamin-e-dakan tamam

achchha hai ahl-e-jaur kiye jaen saKHtiyan

phailegi yun hi shorish-e-hubb-e-watan tamam

samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qarib-e-marg

maghrib ke yun hain jama ye zagh o zaghan tamam

shirini-e-nasim hai soz-o-gudaz-e-'mir'

'hasrat' tere suKHan pe hai lutf-e-suKHan tamam

(2068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Raushan Jamal-e-yar Se Hai Anjuman Tamam in PDF.