Qismat-e-shauq Aazma Na Sake

qismat-e-shauq aazma na sake

un se hum aankh bhi mila na sake

hum se yan ranj-e-hijr uTh na saka

wan wo majbur the wo aa na sake

Dar ye tha ro na den kahin wo unhen

hum hansi mein bhi gudguda na sake

hum se dil aap ne uTha to liya

par kahin aur bhi laga na sake

ab kahan tum kahan wo rabt-e-wafa

yaad bhi jis ki hum dila na sake

dil mein kya kya the arz-e-haal ke shauq

us ne puchha to kuchh bata na sake

hum to kya bhulte unhen 'hasrat'

dil se wo bhi hamein bhula na sake

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qismat-e-shauq Aazma Na Sake In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Qismat-e-shauq Aazma Na Sake is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Qismat-e-shauq Aazma Na Sake for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Qismat-e-shauq Aazma Na Sake in PDF.