Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai

taban jo nur-e-husn ba-sima-e-ishq hai

kis darja dil-pazir tamasha-e-ishq hai

arbab-e-hosh jitne hain bimar-e-aql hain

un ke liye zarur mudawa-e-ishq hai

main kya hun ek zarra-e-sahra-e-ishtiyaq

dil kya hai ek qatra-e-dariya-e-ishq hai

shah o gada ka farq nahin ahd-e-husn mein

ab jis ko dekhiye use dawa-e-ishq hai

zahir hai be-qarari-e-paiham se haal-e-dil

bekar hum ko dawa-e-iKHfa-e-ishq hai

pinhan hijab-e-naz mein hai surat-e-jamal

paida haruf-e-shauq se mana-e-ishq hai

ai ahl-e-aql kyun ho use fikr-e-nam-o-nang

'hasrat' KHarab-e-ishq hai ruswa-e-ishq hai

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Taban Jo Nur-e-husn Ba-sima-e-ishq Hai in PDF.